Saturday, August 9, 2008

Chakravyuh mein ghusne se pehle,kaun tha mein aur kaisa tha,yeh mujhe yaad hi na rahega.Chakravyuh mein ghusne ke baad,mere aur chakravyuh ke beech,sirf ek jaanleva nikat’ta thi,iska mujhe pata hi na chalega.Chakravyuh se nikalne ke baad,main mukt ho jaoon bhale hi,phir bhi chakravyuh ki rachna meinfarq hi na padega.Marun ya maarun,maara jaoon ya jaan se maardun.iska faisla kabhi na ho paayega.Soya hua aadmi jabneend se uthkar chalna shuru karta hai,tab sapnon ka sansar use,dobara dikh hi na paayega.Us roshni mein jo nirnay ki roshni haisab kuchh s’maan hoga kya?Ek palde mein napunsakta,ek palde mein paurush,aur theek taraazu ke kaante par ardh satya.-- ArdhSatya